Aawaz Uthayenge

Artist: | Albums:



Lyrics in English

Aawaz uthayenge, hum saaz bajayenge
Hai Yeshu mahaan apna, ye geet sunayenge -- (2)
Aawaz uthayenge

1. Sansaar ki sundarta mai, hai roop to tera he
In chaand sitaro mein, hai aks to tera hee -- (2)
Mahima ki teri batein, hum sabko batayenge
Hai Yeshu mahaan apna, ye geet sunayenge -- Aawaz

2. Dil tera khazana hai, ek paak mohabbat ka
Thah pa na saka koi, saagar hai tu ulfat ka -- (2)
Hum teri mohabbat se, dil apna sajayenge
Hai Yeshu mahaan apna, ye geet sunayenge -- Aawaz

3. Na dekh saka humko, tu paap ke saagar mai
Aur banke manushya aaya, akaash se sagar mai -- (2)
Mukti ka tu data hai, hum sabko batayenge
Hai Yeshu mahaan apna, ye geet sunayenge -- Aawaz


Lyrics in Hindi



;